Saturday, June 21, 2014

Aurton Kay Orgasm Ki Aqsaam

Mard usually ek mubashrat (Intercourse) mein ek orgasm hasil karta hai jab kay aurat ek mubashrat (Intercourse) mein ek sey zyada orgasm hasil kar sakti hai. Ek experiment mein ek aurat ney 50 orgasm hasil karey. Iss kay elawa mard usually pehley orgasm mein zyada lutf uthata hai jab kay aurat doosrey, teesrey orgasm mein zyada lutf uthati hai. Hite kay survey kay mutabiq agar chahein to tamam aurtein ek sey zyada orgasm hasil karney ki salahiyat rakhti hain. Aurat mubashrat (Intercourse) ki nisbat musht zani (masturbation) sey jald orgasm hasil kar leti hai. (Hite: Hyde)
Aurton ka orgasm 2 types ka hota hai.
(Types Of Female Orgasm)
  1. Dakhooli (Vaginal)
  2. Bazeri (Clitoral)
    Master and Johnson kay mutabiq har aurat indirectly or directly clitoral stimulation sey hi orgasm hasil karti hai jab kay doosrey mahireen ka khayal hai kay taqreeban 80% aurtein clitoral stimulation sey aur baqi dakhool (penetration) sey orgasm hasil karti hain. Sherry Hite kay survey kay mutabiq taqreeban tamam aurton ko orgasm hasil karney kay liye clitoral stimulation ki zaroorat hai. Yani bohut bari tadaad sirf dakhool (penetration) sey orgasm hasil nahi karti, chahey mubashrat (Intercourse) 2 hours tak jari rahey. Aurat ka asal sensitive part bazer (Clitoris) hai jo kay vagina sey door labia minora kay ooper waley hissey mein chicken ki kalghi ki tarhan hota hai. Aam mubashrat (Intercourse) mein penis iss ko touch nahi karta

Types Of Female Orgasm - Aurton Kay Orgasm Ki Aqsaam
 lehaza aksar aurton kay orgasm kay liye zaroori hai kay husband ya biwi khud mubashrat (Intercourse) kay doran bazer (Clitoris) ko finger sey stimulate karey. Kyun kay hamarey yahan husband wife donon iss haqeeqat sey aagah nahin jis ki wajah sey aurton ki ek big taadaad orgasm hasil nahi karti jiski wajah sey inki jinsi zindagikhushgawar nahi hoti. Aurat ka mubashrat (Intercourse) kay doran orgasm hasil karna zaroori nahi bul kay aurat agar mubashrat (Intercourse) sey pehley ya mubashrat kay baad dakhool (penetration) kay bajaey clitoral stimulation jo finger sey bhi ho sakta hai, sey bhi orgasm hasil karey to bhi woh bharpoor jinsi lutf hasil kar leti hai.
    Aksar mahireen kay mutabiq lutf kay lehaz sey vaginal aur clitoral orgasm donon baraber hain magar Hite kay survey kay mutabiq vaginal orgasm ki nisbat clitoral orgasm zyada lutf angaez hai. In other words aurat kay jinsi lutf kay liye dakhool (penetration) zaroori nahi bul kay clitoris ko kisi bhi cheez maslan finger sey stimulate kar kay bharpoor jinsi lutf hasil kya ja sakta hai. Isi liye west mein 90% sey zyada khawateen musht zani (masturbation) kay doran bazer (Clitoris) hi ko stimulate karti hain. Vaginal orgasm ki soorat mein zaroori hai kay mard 5 ta 10 minute mubashrat (Intercourse) ko jari rakh sakey kyun kay aurat ko orgasm kay liye dakhool (penetration) kay baad 5 minutes sey zyada fast stroking ki zaroorat hai jab kay mardon ki bohut bari tadaad taqreeban 90% fitri tor per 2 ta 3.5 minutes sey zyada der tak mubashrat (Intercourse) jari nahi rakh saktey. Lehaza aurat kay orgasm kay liye bazer (Clitoris) ka stimulation zarori hai chahey finger sey hi kyun na ho. Albatta baaz khawateen sirf pistaan kay ishteaal (Breast Stimulation) sey bhi orgasm hasil kar leti hain aur kuch khawateen sirf imagination sey hi orgasm hasil kar leti hain.

How To Get Orgasm - Sexual Climax
 Ek aurat kay liye har bar orgasm hasil karna zaroori nahi hota. Bohut si aurton kay liye qurbat ka ahsas, touch honay ka ahsas, hath phaerna aur husband ki taraf sey foreplay zyada lutf angaez hota hai jis sey woh jinsi lutfaur sukoon hasil karleti hain. (Zakir)
Aurton Kay Liye Har Bar Orgasm Hasil Karna Zaroori Hai?

(How To Get Orgasm - Sexual Climax)

    Aam khayal hai kay khushgawar azdawaji zindagi kay liye aurat ko mubashrat (Intercourse) mein har bar orgasm hasil karna chahiyie jab kay haqeeqat mein aisa nahi. 1994 mein America ki university ki ek research kay mutabiq sirf 33% sey kuch kam aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Shaadi kay shuru mein yani jawani mein aurtein kam orgasm hasil karti hain jab kay 30 saal kay baad aurtein zyada orgasm hasil karti hain. Ek survey mein 50% khawateen ney tasleem kya kay woh hamesha orgasm hasil nahi karti magar inki azdawaji zindagi bey hudd khushgawar hai. Doosri taraf bohut si khawateen ney bataya kay woh hamesha orgasm hasil karti hain magar inki azdawaji zindagi bohut khushgawar nahi. Agarcha khushgawar azdawaji zindagi kay liye orgasm zaroori hai magar sirf orgasm kafi nahi bul kay ek mohabbat aur khayal rakhney wala insan bhi zaroori hai. (Zakir: Stefan)

1 comment:

  1. main ye jaanna chahta hon kia agr bleeding zyada huny ki base par uterus operte karwa kar niklwa diya jaey tu aurat ki jinsi ya sex ki khahish kam ya khatam hu jati ha. plz explain

    ReplyDelete