Saturday, June 21, 2014

Mard Aur Aurat - Jinsi Ikhtilaaf

Mard Aurat - Bunyadi Jinsi Farq
 Agar  zakar ko discharge kay baad faraj sey foran bahir nikal liye jaey to sara erection foran khatam hojata hai, lehaza discharge kay baad zakar ko foran faraj sey bahir naa nikala jaey ta'kay agar biwi nay abhi tak orgasm hasil nahi kara to woh bhi hasil karley.
  • Jinsi lehaz sey mard aur aurat mein ek buniyadi farq yeh hai kay mard jinsi amal kay liye jaldi (2 to 3 min mein) tayyar hojata hai jab kay aurat ko mard sey 10 guna ziyada waqt ki zaroorat hai. Isey orgasm sey pehley kam sey kam 30 min jinsi stimulation ki zaroorat hai. Isssi tarhan mard mubaashirat (intercourse)  mein 2 yeh 3 min mein discharge hokar orgasm hasil karleyta hai jabkay aurat ko orgasm kay husul kay liye mard sey 4 time ziyada waqt ki zaroorat hai. Mard aur aurat kay jinsi ehsaasaat bhi aik doosrey sey mukhtalif hai. Mard buniyadi tor per jinsi tension ko release karnaa chata hai jabkay aurat kay ehsaasat isskay bilkul ulat hotey hain. Iss sey jinsi khushi uss waqt ziyada mehsoos hoti hai jab isski jinsi tension mein ahista ahista ezafa ho.
  • Humarey yahan amooman samajha jata hai kay agar mian biwi aik saath orgasm hasil kartey hain to yeh ziyada lutf angaiz hai jabkay mukhtalif surveys sey yeh baat saamney ai hai kay agar aurat pehley orgasm hasil karley to yeh aurat kay liye ziyada pur lazzat hai. Doosri taraf mian bhi biwi kay pehley orgasm hasil karney sey pur sukoon hojata hai. Isskay sir sey biwi ko saatisfy karney ka booj utar jata hai aur woh mubaashirat (intercourse)  sey ziyada lutf andooz hota hai.


Sexual Differences - Mard Aur Aurat - Jinsi Ikhtilaaf

  • Mard amooman first orgasm aur discharge sey zyada lutf uthata hai jab kay khawateen aksar doosrey ya teesrey orgasm sey. Yad rahey kay 95% khawateen orgasm kay saath secreaation discharge nahi karti.
  • Humarey yahan yeh baat bohut mashhoor hai kay aurat kay liye lambi mubaashirat (intercourse)  zyada lutf angaez hota hai. Jab kay research sey sabit hua hai kay aurton ki majority ko lambi mubaashirat (intercourse) naa pasand hai. Khas tor per woh aurtein jo sirf mubaashirat (intercourse) sey orgasm hasil nahi karti. Taqriban 80% khawateen sirf dakhool sey orgasm hasil nahi karti chahey mubaashirat (intercourse)  kitni hi lambi kyun naa ho. Agar mubaashirat (intercourse)  30 min sey ziyada jari rahey to aurat ki faraj dry hojati hai, iss mein swelling hojati hai jo iss kay liye takleef ka ba'iss hoti hai.
  • Mard aur aurat jinsi lehaz sey aik doosrey sey kafi mukhtalif hain. Mard mamooli ishteaal sey bohut jald jinsi amal kay liye tayyar hojata hai aur manzil ho kar zehni sukoon hasil karna chahta hai lekin agar woh jinsi stimulation kay baad discharge naa ho to shadeed frustration aur discomfort ka shikar hojata hai. Agar mian ko biwi kay non cooperation ki wajah sey bar bar iss tajurbey sey guzarna parey to woh sex mein interest kho deta hai aur baaz auqat woh naa mardi ka shikar hojata hai.
  • Master And Johnson ki research kay mutabiq amooman 50 saal ki umar tak discharge kay baad mard ka 50% erection foran khatam hojata hai aur 50% barqarar rehta hai. Agar erection zyada der jari rahey to phir amooman discharge kay baad jaldi khatam nahi hota.


No comments:

Post a Comment