12. Jinsi amal (intercourse) sey bharpoor lutf andooz honay kay liye apkay pas kafi time ho. Maahireen ka khayal hai kay apkay pas kamsey kam 1 hour zaror hona chahiyie warna biwi sex sey bharpoor lutf naa utha sakaygi. kyun kay aurat ko jinsi amal kay liye tayar honay kay liye kam sey kam half hour lag jata hain. Iss liye foreplay, mubashrat (intercourse) and afterplay kay liye aapko kam sey kam 1 hour required hai.
13. Aap mubashrat (intercourse) sey pehley peeshaab pas karley, thathey paani sey isstanja kareyn. Iss tarhan jaldi discharge nahi hoga aur ap jinsi amal ko ziyada taweel kar sakayn gai.
14. Mubashrat (intercourse) sey pehley biwi bhi thathey paani sey isstanja karley. Isey faraj tight hojaeygi jis sey aapko ziyada lutf aiga, aur biwi bhi nisbaatan jald orgasm hasil kar leygi.
15. Jinsi amal sey pehley ek doosrey kay kaprey utarna bhi ek lutf angaez marhala hai. Biwi ka ezarband aur bra kay hook iss tarhan kay hon jisko aap aasani sey khol sakein. Behter hai kay aap iss ki baqaida mushq karlein. Warna ezarband aur bra ko kholtey kholtey aap kay jazbaat sard par jaein gey.
16. Taqaddus ka taqaza hai kay mubashrat (intercourse) kay waqt apka mu'nh Kaabey ki taraf naa ho. lekin Quran-o-Hadisss mein isstarhan kay wazeh ahkamat mojood nahi.
17. Mubashrat (intercourse) foran shuru naa ki jaey. Iss surat mein ap jaldi discharge ho jaein gey. Jab kay biwi ko orgasm hasil naa karney ki wajah sey frustration aur bey sukooni mehsoos hogi. Aurat ko jinsi amal kay tayar honay mein kamsey kam 30 mins lag jaatey hain. Issliye mubashrat (intercourse) sey pehley half hour foreplay zaroor kareyn.

18. Mubashrat (intercourse) faraj mein hogi. Maqad mein haram hai. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya " Jo shakhs apni aurat ki maqad mein badfaeli karey woh mal'oon hai khuda iss ki taraf nazar rehmat aur shafqat sey nahi dekhta".(Abu Dawood, Tirmizi)
19. Aurton ka khayal hota hai kay zakar ko kab penetrate karna hai jabkay mard ko yeh pata hi nahi hota. Lehaza jab aurat kay jinsi jazbaat urooj per hun to woh mian ko dakhil karney ka isshara karey aur iss kay saath hi dakhool mein mian ko madad karey ta'kay iss ko dakhool mein problem naa ho. Iss kay liye woh zakar ko hath mein pakar kay faraj mein dakhil kar sakti hai. lekin agar aapko sur'at e inzal ka masla hai aur biwi kay hath laganay sey discharge ka khatra hai to biwi apkay zakar ko hath laganay kay bajaey apni aaza-e-makhsoosa (vulva) kay lips ko khol dey ta'kay ap aasani sey dakhil kar sakein. Biwi ki taraf sey cooperation aur guidance na karney ki surat mein bohut sey mard dakhool ki koshish mein bahir hi discharge ho jatey hain. Jis sey biwi ko shadeed frustration aur aapko sharmindagi hogi.
20. Aap mubashrat (intercourse) kay kam sey kam 4-5 methods mein achi tarhan maharat hasil karley aur har bar mukhtalif method sey mubashrat (intercourse) kareyn. Aik hi method ko bar bar use karney sey boriyat ho jaati hai aur aurat ki sex mein dilchaspi kam ho jati hai.
21. Islam mein haez (menses) kay dino mein mubashrat (intercourse) sey mana kara hai. Quran mein irshad hai " Haez mein aurton sey bachoo. Inn sey mubashrat naa karo jab tak woh paak naa ho jaein. To jab paak hojaein to iss kay pas iss jagah aao jiska Allah nay tumko hukum diya hai". ( Albaqrah 222) Haez (menses) meinmubashrat (intercourse) naa karney wali khawateen uterus kay cancer sey mehfooz rehti hain. Issi tarhan nifas mein bhi aurat sey mubashrat (intercourse) mana hai. Child birth kay baad aurat ko jo blood aata hai woh nifas kehlata hai.
No comments:
Post a Comment