Hazrat Muhammad(P.B.U.H) farmaya, tumhara kiya khayal hai kay agar koi shakhs haram tariqey sey shahoot puri karey to ussey gunah nahi hota (yaqeenaan hota hai) lehaza iss tarhan agar koi shakhs hullal tareqai sey apni shahoot puri karta hai to issko ajar aur sawab sey nawaza jata hai.(Muslim) Aur agar biwi ta'awwun naa karey to woh gunah gar hogi. (Bukhari)
- Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay apni biwi kay saath mubashrat (intercourse) ki baatein doosrey logon ko baata nay sey sakti sey manaa kara hai. Hazrat Abu Saeed Khadri sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay gayamat kay din Allah ki nigah mein woh shakhs bohut bura hoga jo apni biwi sey hum bister ho aur woh iss kay raaz ko (logon per) zahir karey. (Bukhari)
- Mubashrat (intercourse) aik team work hai jismein donon mian aur biwi ka ta'awwun zaroori hai. Agarcha ziyada zimmedari mard per hai. Donon mein sey koi aik bhi bharpoor taawwun naa karey to mubashrat (intercourse) bharpoor lutf sey mehroom hoti hai.
- Humarey yahan yeh khayal hai kay ziyada mubashrat (intercourse) insan ki sehat kay liye nuqsandey hai, jabkay research kay rissults bilkul ulat hain. British medical journal 1997 ki aik research mein scientist nay maloom kara kay woh mard jo ziyada mubashrat (intercourse) kartey hain enki umar lambi hoti hai. Woh mard jo week mein kamsey kam 2 bar mubashrat (intercourse) kartey hain inhein maut ka khatra inn mardon ki nisbat 50% kam hota hai jo aik month mein sirf aik bar mubashrat (intercourse) kartey hain. Research sey maloom hua hai kay regular sex donon mian biwi kay liye mufeed hai.
Mubashrat (intercourse) :
Mubashrat (intercourse) shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse) kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse) kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
|
No comments:
Post a Comment