Aurton Kay Jinsi Aazaa (Female Genital Organs)
Mard aur aurat kay genitals mein bohut farq hai. Iss farq ki wajah sey dono ek doosrey sey alag alag hain. Aurat kay genitals ko 2 parts mein divide kya ja sakta hai.
- Woh organs jinko hum bahir sey dekh saktey hain.
- Woh organs jo jism kay ander hotey hain aur jinko hum dekh nahi saktey hain.
Aurat kay baerooni aaza (external genitals) ko Vulva kaha jata hai. Jis hissey per baal hotey hain inko Labia majora kaha jata hai. Inn lips kay ander waley lips ko Labia Minora kaha jata hai. Labia Minora sexually bohut hi sensitive hotey hain.
Female Genital Organs - Vagina | ||
Agar labia majora ko kuch khola jaey to aap dekhein gey kay sab sey neechey vagina hai, yeh ooper neechey 2 walls hoti hain jo kay aapas mein mili hoti hain. Vagina ki length 3.5 to 4.5 inches hai aur average 4 inch hoti hai. Mard iss mein mubashrat (Intercourse) karta hai. Isi sey mahwaari (menses) ka khoon bahir ata hai. Issi sey bachey ki paedaesh hoti hai. Vagina kay mouth kay kuch ander ek membrane hoti hai jisko hymen kaha jata hai.
Vagina kay kuch ooper peeshab ki nali hoti hai jis kay zariye urine bladder sey bahir aata hai. Iss kay ooper jahan labia minora khatam hoti hai waha bazer (Clitoris) hota hai jo pea sead kay baraber chicken ki kalghi ki tarhan hota hai. Iss ka size ¼ to 1/5 inch hota hai. Iss kay ooper ek hood hota hai. Sexually aurat ka sab sey sensitive part yehi hai. Jinsi lutf kay elawa iss ka koi aur maqsad ya kaam nahi.
Aurat kay internal genitalia mein ahem tareen organ G spot hai. Bazer (Clitoris) kay baad sexually yeh second sensitive part hai. Isey ek german gynecologist Earnest Grafenberg ney discover kya aur yeh issi kay name sey famous bhi hai. Agar aurat face aasmaan ki taraf kar kay letey to yeh uski umbilicus kay neechey vagina ki ooper wali wall mein 1 ta 1.5 inch ander ki taraf hota hai. Yeh ek chotey lobia ki shakal ka hota hai. Iski stimulation sey aurat zabardast orgasm hasil karti hai. Magar yeh orgasm musht zani (masturbation) aur mubashrat (Intercourse) kay orgasm sey mukhtalif hota hai. G spot kay stimulation sey 54% aurtein pani kharij karti hain.
Vagina kay end per uterus hota hai jis mein baby ki growth hoti hai. Uterus amrood ki shape ka hota hai. Iss ki walls moti aur muscles ki bani hui hoti hain. Uterus ka munh vagina mein khulta hai. Uterus kay dono taraf left aur right 2 tubes hoti hain. Inko fallopian tubes kaha jata hai. Yeh tubes ek taraf uterus sey mili hoti hain aur doosrey end per ovaries sey mili hoti hain. Ovaries 2 hoti hain. Ovaries mein lakhon ki ta'adaad mein eggs hotey hain. Har month sirf ek egg ki growth hoti hai. Yeh egg left ya right kisi bhi ek ovary mein tayyar ho sakta hai. Qudrati tor per har month bari bari ovaries mein sey kisi ek sey egg nikalta hai. Ovulation kay waqt ek egg kisi ek ovary sey nikal kar fallopian tube mein aa jata hai. Doosri taraf sey mard ka sperm aata hai. Donon kay milney sey pregnancy ho jati hai. Yeh egg aur sperm mil jatey hain to phir uterus mein aa jatey hain. Jahan baby ki growth hoti hai.
Bara Bazer (Clitoris) Zyada Jinsi Khwahish Ki Alamat?
Individual difference ki wajha sey different khawateen kay bazer (Clitoris) ka size different hota hai. Aurat ka sexually most sensitive yehi part hai. Qadeem zamaney sey yeh khayal chala aa raha hai kay jin aurton ka bazer (Clitoris) big hota hai woh zyada jinsi khwahish (libido) rakhti hain.
|
No comments:
Post a Comment