Saturday, June 21, 2014

Libido - Sexual Desire

  • Jinsi khwahish (libido) kay lehaz sey bhi mian and biwi aik jaisey nahi hotey. Kisi mard mein jinsi khwahish kam hoti hai aur aurat mein ziyada aur kabhi iss ka ulat. Yani kabhi mian mein jinsi khwahish ziyada hoti hai aur kabhi biwi mein. Amooman mard ki jinsi khwahish aurat ki nisbat kuch ziyada aur shadeed hoti hai. Mukhtalif researches sey yeh bhi pata chala hai kay mard ki jinsi khwahish aur dilchaspi 17 sey 19 saal ki umar mein uroj per hoti hai jabkay aurat ki jinsi urooj ki umar 35 sey 39 year hai. Mard aur aurat ki jinsi khwahish aur dilchaspi mein tabdeli aati rahti hai baaz waqt zehni  dabao (stress) aur ziyada masroofiyat ki wajah sey mard ki jinsi khwahish (libido) kam hojaati hai. Jab kay doosri taraf mian ghar sey bahir purkashish khawateen ko dekhta hai jis ki wajah sey usey ziyada jinsi stimulation ka saamna karnaa parta hai. Iss surat mein iss kay jinsi jazbaat foran bharak uthtai hain phir woh jinsi sukoon chahta hai. Issi liye Allah Ta'ala kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya hai " Tum mein sey kisi ko jab (koi doosri) aurat bhali mehsoos ho aur dil per chot parey to chahiyie kay apni biwi kay saath hum bister ho. Iss tadbeer sey ajnabi aurat ka asar dil sey jata rahey ga". (Muslim) Iss liye zaroori hai kay biwi aisi surat-e-haal mein mian kay saath ta'awwun karey warna gunah gar hogi
  • Aik survey sey ma'aloom hua hai kay 2/3 khawateen mardon ki nisbat mubashrat ki kam khwahish rakhti hain. Kinsey kay survey kay mutabiq shadi kay shuru mein mian biwi sey ziyada mubashrat ki khwahish rakhta hai. lekin darmiyani umar (35-40 year) mein ulat yani iss umar mein aurat ziyada jinsi khwahish rakhti hai.



Jismaani Muaina (Physical Examination)

    Chand din pehley aik dulhan ney bey panaah khushi kay saath mujhey phone kara kay hamari help sey woh mubashrat (intercourse)  karney mein kamyab hogaey hain. Yeh inki pehli mubashrat (intercourse)  thi jo kay shadi kay 1.5 saal kay baad hui. Mian biwi donon naujawan aur parhey likhey they. Shuru mein kaee maah tak unko pata hi naa tha kay mubashrat (intercourse)  karnaa kahan hai. Karachi kay famous doctor Syed Mobeen Akhter ney apney aik dilchasp case ka zikar kara. Shadi kay taqreeban 1 saal baad mian biwi doctor sahib kay paas aaey, pareshan thay kay biwi abhi tak pregnant nahi hui. Jab tafseeli interview kara gaya to ajeeb baat saamney aaee kay inn donon ko pata hi nahi tha kay mubashrat (intercourse)  kahan karna hai aur woh pichley 1 saal sey naaf (umbilicus) mein mubashrat (intercourse)  kar rahey thay. Kuch din pehley mein ney bohut sey shadi shuda or aisey  ghaer shadi shuda naujawaan jinki jald shadi honay wali thi, sey pucha kay kiya unko mubashrat (intercourse)  ki exact jagah ka pata hai yaqeen kareyn kay kisi aik ko bhi pata naa tha.

    Humarey yahan mardon ki bohut bari ta'adaad taqreeban 90% ko mubashrat (intercourse)  kay asal maqaam ka pata nahi hai. Woh nahi jantey kay mubashrat (intercourse)  kahan kii jati hai. Woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse)  kartey hain jiski wajah sey aksar mardon ko dakhool mein problem hoti hai aur ba'az mard dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain jis sey inhein sharmindigi aur biwi ko frustration hoti hai aur ba'az afraad ka tanau (erection) dakhool ki koshish mein hi khatam ho jatq hai. Jo mian biwi donon kay liye mayusi ka ba'iss hota hai.

No comments:

Post a Comment