Saturday, June 21, 2014

Sex Education And Islam - Islami Jinsi Talim

 Aur yeh bhi haqeeqat hai kay bachey ko agar sahi zaryey sey malumat na milein to phir woh galat aur tabah kun zaryey sey gumraah kun malumat hasil karta hai aur inhi malumat ka asar hai kay naujawan tabqa jinsi aur akhlaqi tor per tabahi kay kinarey per khara hai.  
    Humarey khayal mein jinsi talim bachon ko ghar hi sey miley. 9/10 saal ki umer mein maan beti ko aur baap betey ko yeh ta'aleem deni shuru kardey. Research sey sabit ho chuka hai kay bachey walaedaen sey jinsi malumat hasil karney ko tarjeeh detey hain. Iss liye yeh baat bey hudd zaroori hai kay walaedaen khud Quran o sunnah aur jadeed tehqeeq ki roshni mein taza aur sahi ma'aloomat hasil karein ta'kay woh agli nasal ko yeh ma'aloomat muntaqil kar kay ek pursukoon aur behter mua'ashirey ki bunyaad rakhein. Walaedaen kay elawa teachers ko bhi yeh malumat hasil karni chahiyien ta'kay woh hasb e zaroorat bachon ki rehnumaee kar sakein.
    Yeh talim bachon ko ek dum nahin bul kay marhala waar milni chahiyie ta hum shaadi sey pehley jinsi talim ki takmeel ho jani chahiyie. Iss talim mein bachon ko apney jismani a'aza (anatomy) aur unn kay functions (physiology) kay hawaley sey malumat fraham ki jaein. Iss kay elawa mubashrat, halal, haram, hamal, paeda'esh aur jinsi beemariyon waghaera kay hawaley sey malumat dii jaein. Khusoosan jins kay hawaley sey jitney mughalitey hain unn ki haqeeqat sey bachon ko aagah kya jaey.
    Iss kay elawa bachon ko yeh talim o tarbiyat bhi dii jaey kay unhoney apney aap ko jinsi tashaddud (sexual abuse) sey kis tarah bachana hai.


Physical Development of Infants
Jismani Nashaunuma
(Physical Development)

    Insaan paeda hotey hi mukammal mard ya aurat nahin ban jata. Paeda'esh sey ley kar burhapey tak insan ko kaee manazil taey karna hoti hain. Insani jismani nashaunuma ki teen ma'aroof manazil hain
  1. Baalak pan (Infants)
  2. Bachpan     (Childhood)
  3. Baloghat     (Puberty)
  1. Baalak pan (Infants)
Baalak pan ka aaghaz bachey ki paeda'esh sey  hota hai. Sehat mand bacha amooman 280 din kay ba'ad paeda hota hai. Baalak pan mein bachey kay qadd aur wazen mein bohut taezi sey izafa hota hai. Paeda'esh kay waqt ek sehat mand bachey ka weight 6 ta 9 pounds hota hai aur qadd taqreeban 18 inches kay lug bhug hota hai. Pehley saal kay aakhir tak wazen mein 3 guna aur qadd mein 40% kay hisab sey izafa ho jata hai. Doosrey saal mein bachey ki nashaunuma qadrey sust ho jati hai jo agley 2 saal mein mazeed sust ho jati hai. Ma'aroof mahir e nafsiyat Watson kay mutabiq 2 saal ki umer mein bachey ka average qadd 32,33 inches aur wazen 27 pounds ho jata hai jab kay 5 saal ki umer mein bachey ka qadd paeda'esh kay waqt sey do guna aur wazen 5 guna ho jata hai. Bachon ki jismani nashaunuma per jinsi ikhtilafaat ka asar numaya'n hota hai, paeda'esh kay waqt male bacha qadd, wazen aur jisamat kay lehaz sey female bachey sey bara hota hai. Yeh farq baalak pan kay poorey arsey mein qa'em rehta hai.

No comments:

Post a Comment