kiya jab aurat ko ehtelam ho to usper nahana wajib hai. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya han, jab pani dekhey (Bukhari, Muslim) taham iss sey roza nahi tootta.
Mahwaari (menses)
Mein club sey wapis aya hi tha ka biwi ney mujhey bataya kay meri ek cousin aaj bey hosh ho gaee aur iss ko doctor kay pass ley jaya gaya. Mein pareshan ho gaya aur foran doctor sey contact kya aur maloom hua kay usko first time mahwaari (menses) aaee hai. Chunkey iss ko iss ka kuch pata nahi tha iss liye woh khoon dekh kar khauf zada ho kar bey hosh hogaee. Larki jab baloghat ki manzil mein dakhil hoti hai to iss kay jism mein ahem tareen change yeh aata hai kay iss ko mahwaari (menses) aaney lagti hai. Yeh ek fitri function hai. Yeh Allah ka inam hai kay iss sey aurat ki takmeel ho jati hai aur woh mother banney kay qabil ho jati hai. Mother jo duniya mein sab sey mohtaram hasti hai, jis kay qadmon mein jannat hai.
Mahwaari (menses) usually 6 ta 16 saal ki umer mein shuru hoti hai. Zyada tar larkiyon ko 10 ta 14 saal kay doran shuru hoti hai jo usually 2 ta 8 din aur zyada tar 4 ta 6 din jari rehti hai. Agar yeh 18 saal kay baad bhi shuru na ho to kisi doctor sey mashwara kya jaey. Larkiyon ko iss age sey pehley iss ka pata hona chahiyie takay woh khaufzada ho kay beyhosh na hojaein. Mahwaari (menses) ki duration Islam mein kam sey kam 3 din aur 3 raat hai yani poorey 72 hours aur zyada sey zyada 10 din aur 10 raat hai. Imam Maalik aur Imam Shafai kay nazdeek ek mahwaari (menses) ki zyada sey zyada duration 15 din hai jab kay Imam Abu Hanifa kay nazdeek 10 din hai.
Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan |
Jin larkiyon ko shuru shuru mein mahwaari (menses) sahi time per nahi aati hai inko bhi kuch arsey kay baad khud hi mahwaari (menses) sahi waqt per aur regular honay lagti hai. Baloghat kay ibtidaee daur mein mahwaari (menses) usually irregular hoti hai. Agar mahwaari (menses) mein bohut zyada irregularity ya khoon flow ho ya khoon ka ikhraj bohut zyada miqdar mein honay lagey to kisi achey doctor sey contact karein. (Kawal Dheer)
Menstrual cycle mamooli diseases maslan flu waghaera sey disturb ho jata hai. Iss tarhan tension, udaasi, depression, anxiety, stress, khauf, trauma aur kharab general sehat ki wajah sey bhi disturb ho kar band ho jata hai. Lehaza inn dino aap ki sehat achi honi chahiyie aur aap ko zehni tor per pur sukoon hona chahiyie.
Menstrual cycle kay doran aurat kay mood mein changes (premenstrual syndrome) aati hain maslan ovulationkay waqt aurat ka mood positive hota hai. Iss ka self confidence aur self esteem urooj per hotey hain. Magar mahwaari (menses) sey 2 ta 7 din pehley mood negative ho jata hai. Iss doran khawateen ki big ta'adad 75% sey bhi zyada tension, depression, anxiety, irritability, thakawat, death aur paralyze honay ka shadeed khauf mehsoos karti hain.
|
Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari |
Mahwaari (menses) kay elawa kisi beemari ki wajah sey bhi khoon aata hai jis sey istihaza kehtey hain aur child birth kay baad aaney wala khoon nifas kehlata hai. (Mobeen)
Menses cycle usually 28 din ka hota hai. Yani har 28 din kay baad mahwaari (menses) hoti hai. Magar baaz khawateen ka cycle kam days (22 days) aur baaz ka zyada (40 days) ka bhi ho sakta hai. Yeh badal bhi sakta hai yani kabhi 28 days aur kabhi 32 days ka. Yeh sab kuch normal hai. Mahwaari kay shuru mein red aur blackish khoon aata hai. Yani yeh khoon bilkul red nahi hota shuru mein yeh zyada aata hai magar ek din baad iss ki miqdar kam hojati hai. 3rd aur 4th day iss ka colour change ho jata hai. Hatta ka yeh ratoobat bilkul khatam ho jati hai. Iss ki miqdar sab larkiyon mein baraber nahi hoti. Kisi ka zyada aur kisi ka kam. Mahwaari (menses) sara khoon nahi hota. Iss mein 50% khoon aur baqi doosra material hota hai aur yeh khoon doosrey khoon ki tarhan jamta nahi hai. Hamal (Pregnancy) kay doran mahwaari (menses) band hojati hai. Magar baaz auqat jari rehti hai. Aisa bohut hi kam hota hai. Iss mein pareshan honay ki zaroorat nahi aur na hi iss ka elaj karaney ki zaroorat nahi. Mahwaari (menses) ka silsila usually 45 years tak chalta hai aur phir band ho jata hai. Kabhi kabhi mahwaari (menses) shuru honay kay waqt iss kay cycle mein kharabi hojati hai. Baaz larkiyon ko zindagi mein first time mahwaari (menses) aaney kay baad 2nd time ya next time mahwaari (menses) 28 din kay baad nahi aati bul kay kuch haftey (weeks) ya kuch months kay baad aatey hain. Kuch larkiyon ko shuru hi sey mahwaari (menses) baqaida waqt per aaney lagti hai.
|
No comments:
Post a Comment