Saturday, June 21, 2014

ladkiyon ki jinsi masail

Pregnancy Without Intercourse - Hamal Baghaer Mubashrat
 Inn jinsi tasawwurat mein aurat kisi kay sath foreplay aur mubashrat  sey lutfandoz hoti hai. Agar yeh tasawwurat zaroorat sey zyada hun to phir yeh normal azdawaji zindagi mein rukawat sabit hotey hain. Meri ek 28 saala married client apney husband kay sath mubashrat (Intercourse) mein bharpoor shirkat nahi karti. Iss ney mujhey bataya kay woh tasawwur ki madad sey zyada jinsi lutf hasil kar leti hai aur woh 6 or 7 saal ki umer sey tasawwurat ki madad sey lutf hasil karti aa rahi hai. (Hyde) 
Aurat Baghair Mubashrat Kay Haamla Ho Sakti Hai: 
(Pregnancy Without Intercourse)
    Aurat kay pregnancy kay liye mubashrat (Intercourse) aur dakhool (penetration) zaroori nahi. Aisi examples mojood hain kay ek larki pregnant ho gaee halan kay iss ney mubashrat (Intercourse) nahi ki. 22 saala Margaret check up kay liye apni family doctor kay pass gaee. Doctor ney iss ko bataya kay woh pregnant hai aur woh shadeed ghussey mein aa gaee. Iss ney cheekhtey huey doctor ko bataya kay iss ney kabhi mubashrat (Intercourse) nahi ki to pregnancy kaisey ho sakti hai. Isey bataya gaya kay baaz auqat mubashrat (Intercourse) kay baghaer foreplay kay doran mard ka discharge ho jata hai agarcha discharge vagina sey baher hua ho magar vulva kay ooper hua ho iss tarhan mani (seminal fluid) ka ek aadh drop vulva kay ander chala jata hai aur wahan sey sperm vagina mein chaley jatey hain. Issi tarhan agar aurat ek aisey kaprey sey apni vagina ko saaf karey jis per mard ki mani (semen) lagi ho to iss soorat mein bhi larki ko pregnancy honay ka imkaan hai. (Kothram: Reuben)

Leucorrhea
Khawateen Kay Paet Aur Pistaan (Breast) Per White Lakeerein:

    Baaz khawateen kay paet aur pistaan (Breast) per white lakeerein parr jatin hain. Iss ki wajah yeh hoti hai kay pregnancy mein aurat kay paet ki skin phael jati hai. Issi tarhan pistaan (Breast) ki bhi skin phael jati hai. Baaz aurton ki skin zyada lacahkdaar (elastic) hoti hai inn kay jism per lakeerein nahi parti magar aksar aurton ki skin zyada elastic nahi hoti jiski wajah sey skin phat jati hai aur phir bachey ki paedaesh kay baad yeh tears white lakeeron mein badal jatey hain. Yeh bhi ek normal process hai. Iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat nahi. (Zakir) 
Leucorrhea: 
     Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.

No comments:

Post a Comment