Friday kay din (apni biwi kay liye) ghussul ka saman karey aur khud ghussul karey to isskay liye har qadam per sal bhar kay amal ka badla hai goya woh sal bhar rozai sey raha aur inki raton ko qayam kiya. (Mashkawa)
Aik doosri hadees hai " jo koi Juma kay din janaabaat ka ghussul karta hai (Jumein ki naamaz kay liye) sawairai nikalta hai to goya usnay ounth ki qurbani paesh ki. (Bukhari) Behtar hai kay next day off ho ta'kay aram kara ja sakay.
2. Mubashrat (intercourse) sey 1 yeh 2 hours pehley coffee, tea, coke wagbaala aur ziyada paani nahi piya jaey. Yeh cheezain pisshab awar hain jo aksar mardon kay liye prematore ejaculaation ka sabab banti hai.
3. Mubashrat (intercourse) kisi bhi waqt kara ja sakta hai. Magar Hazrat Muhammad(P.B.U.H) aksar rat kay pechley pehar mubashrat farmaatey thai. Iss waqt amooman mard ziyada pur sukoon hota hai jiski wajah sey tanau (erection) ziyada hota hai aur mard jaldi discharge nahi hota. Baz maahireen kay naazdeeq mubashrat (intercourse) kay liye morning 10 bajaey ka waqt ziyada munasib hai. Kyun kay iss waqt testosteroneki production mein ezafa hojata hai jiski wajah sey mard ka tanaau ziyada sukht hota hai.
4. Khanay kay foran baad mubashrat (intercourse) nahi karna chahiyie, bul kay 2 yeh 3hours kay baad uswaqt kara jaey jab khanaa digisst ho chukka ho. Khanaa pait bhar kay naa khaya jaey aur naa hi ziyada oily ho bul kay soft diet ho yeh cheezain insan kay tanau (erection) ko manfi tor per muta'assir karti hai.
5. Khauf, pareshani, stress, tension aur thakan mein mubashrat (intercourse) nahi kari jaey. Yeh cheezain tanau (erection) ki dushman hai. Inki wajah sey bohut sey logon ko tanau (erection) ka masla hojata hai. Mubashrat (intercourse) kay waqt donon ko zehni aur jismani tor per bohut pursukoon hona chahiyie.
6. Mubashrat (intercourse) kay liye baqaida tayari kari jaey. Mian jaldi ghar ajaey. Biwi ghar kay kam jaldi karley. Bachon ko suladey. Ap iss book ki madadsey foreplay aur mubashrat (intercourse) ki planning kareyn yani yeh decide karey kay aj aapko foreplay kis tarhan karna hai. Mubashrat (intercourse) ka konsa tareqa use karna hai. Mubashrat (intercourse) sey thori deyr pehley sukoon sey beth jaey aur imaginaaation ki madad sey iss ki practice karleyn.
7. Jinsi amal kay liye pursukoon mahol bohut zaroori hai. Room temperature optimum ho, naa garmi aur naa sardi. Room aisi jagha ho jaha sey aawazein doosrey room tak naa pohoch sakay. Yani shor-o-ghul aur madakhilat sey mehfooz ho. Mubashrat (intercourse) kay doran insan jinsi haejan mein awazain nikalta hai. Newly wed coupliss ko iss baat ka khauf hota hai kay inki awazain doosrey log naa sunlein. Yeh khauf inkay jazbaat ko sard kar deyta hai khas tor per mian ka tanau iss khauf sey muta'assir hota hai. Baz auqat mard ki tanau (erection) kam yeh khatam hojaati hai. Iss sorat mein soft mu'nhsic lagai ja sakti hai ta'kay awazain bahir naa ja sakayn. Isskay elawa distorbance sey bachnay ka liye phune band kardeyn. Warnaa phune ki ghanti apkay jazbaat ko sard kar deygi. Aur apka tanau (erection) kam yeh khatam hojaeyga. Behtar yeh hai kay bachun waley room mein mubashrat (intercourse) naa kara jaey. Inkay jagnay kay khauf ki wajah sey ap mubashrat (intercourse) sey puri tarhan lutf andooz naa ho sakayngai.
8. Aap donon kay jism saf sutrai aur har kisim ki smell sey pak hun. Behtar ho kay sham ko donon ghussul karleyn, kaprai change karleyn. Kaprai aik doosrey ki pasand kay ho. Agar baath room bedroom kay saath ho to mubashrat (intercourse) sey 1 hour pehley donon aik saath aik doosrey ko ghusal dein.
No comments:
Post a Comment