Saturday, June 21, 2014

Bachpan (Childhood)

  1. Bachpan (Childhood) 
        5,6 saal ki umer sey ley kar 12 saal tak (larkiyon kay liye) aur 14 saal tak (larkon kay liye) ka arsa bachpan kehlata hai. Iss daur mein bachon kay qadd aur wazen mein izafa hota rehta lekin baalak pan kay daur ki nisbat iss daur mein nashaunuma ki raftaar qadrey kam hoti hai. Bachpan kay daur kay aaghaz mein sehat mand bachey ka wazen 43 pound aur qadd 44 inch ho jata hai aur ikhtetaam per qadd taqreeban 5 feet ho jata hai aur wazen 95 ta 100 pound ho jata hai. Ibteda mein larkon ki nashaunuma ki raftaar larkiyon kay muqabley main taez hoti hai lekin 10 saal ki umar kay ba'ad larkiyon kay qadd aur 11 saal ki umer kay ba'ad unn kay wazen mein larkon ki nisbat zyada izafa honey lagta hai. Larkon ki harkaat aur unki jismani kaarkardagi larkiyon sey behter hoti hai. Larkey larkiyon sey taez aur tanumand hotey hain.
  2. Baloghat (Puberty)
        Baloghat (puberty) ka daur larkiyon kay liye larkon ki nisbat 2 saal pehley shuru ho jata hai yani larkiyon kay liye iski ibtidaa amooman 12 saal ki umer mein ho jati hai aur larkon mein 14 saal mein. Ba'az bachiyan 9 saal ki umer mein baaligh ho jati hain. Meien Bahawalpur kay ilaqey mein ek 10 saala maan dekhi. Garam ilaqo'n mein bachey jald jawan ho jatey hain. Isi tarah uryaani, beyhayaee aur fahashi kay mahol mein bhi bachey ek do saal pehley baaligh ho jatey hain. Isliye Europe aur America mein bachey ab nisbatan jald baligh ho jatey hain.

Body Changes During Puberty
 Baloghat  (puberty) mein bachon kay jism mein haerat angaez tabdeeliyan ru numa hoti hain. Qadd, wazen aur a'aza mein tezi sey izafa hota hai. Yeh izafa larkon mein 13 sey 15 saal ki umer kay darmiyan hota hai. Iss daur mein inn kay qadd mein kam o baesh 8 inch ka izafa ho jata hai aur wazen 40 pound tak barh jata hai. Larkiyon kay qadd mein 11 sey 13 saal ki umer kay darmiyan 5, 6 inch ka izafa ho jata hai. Iss kay ba'ad qadd aur wazen barhney ki raftaar sust ho jati hai. Haddiyon mein phelao aa jata hai, kandhey khuley ho jatey hain.
    Iss daur kay aaghaz sey hi bachon kay jism mein aisi tabdeeliyan honay lagti hain jin sey mard aur aurat mein farq wazeh ho jata hai. Larkon kay gaal per baal aaney shuru ho jatey hain, larkiyon ki chaatiyan ubharney lagti hain, baghlon kay elawa donon kay zer e naaf baal ugg aatey hain. Donon kay liye zer e naaf baal saaf karna sunnat hai. Larkiyon ko mahwaari (menses) ka khoon aana shuru ho jata hai aur larkon ko ehtelam (nocturnal ejaculation) honay lagta hai. Iss daur mein larkiyan, larkon ki nisbat zyada dilkash nazar aati hain. Ab donon jinsi aur azdawaji faraez ada karney kay qabil ho jatey hain.
    Taaza tareen research kay mutabiq America mein larkiyon mein baloghat ka aaghaz 8 ta 13 saal ki umer kay doran chatiyon kay ubharney sey hota hai. Iss doran unn kay hips aur buttocks bhi barhney lagtey hain. Chaatiyon kay ubharney kay kuch arsa ba'ad zer e naaf baal aa jatey hain. 2 saal ba'ad baghlon mein baal aaney lagtey hain. Taqreeban 13 saal ki umr mein larkiyon ko pehli mahwari aati hai magar larki uss waqt tak hamla nahin hoti jab tak


 Ovulation shuru nahin ho jati jo amooman pehli mahwaari kay 2 saal ba'ad hoti hai. Bohut kamzor aur dubli patli larkiyon ki mahwari ka aaghaz zara der sey hota hai.
    American larkon mein baloghat ka aaghaz 2 saal ba'ad 10 ta 13 saal ki umer kay doran zer e naaf baal aaney sey hota hai. Ek saal kay ba'ad larkon kay zakar (penis) ka size barhna shuru ho jata hai. Zer e naaf balon kay taqreeban 2 saal ba'ad larkon ki baghlon aur chehrey per baal aa jatey hain. Zer e naaf baalon kay taqreeban 1.5 saal ba'ad 13 ya 14 saal ki umer mein larkon ko pehley inzal ka tajurba hota hai iss sey pehley jinsi suroor (orgasm) to tha magar inzal na tha. 15 saal ki umer mein mani mein mojood sperms pakhta (mature) ho jatey hain jis sey bacha paeda ho sakta hai. Amooman pehley inzal jo kay khud lazzati (masturbation) sey hota hai kay ba'ad ehtelam (nocturnal ejaculation) shuru ho jata hai. Jo larkey khud lazzati nahin kartey unn ka pehla inzal ehtelam hota hai. (Hyde) 
    Jismani tabdeeliyon kay elawa zehni aur nafsiyati tabdeeliyan bhi aati hain. Bachey bey ja khauf aur wahem ka shikar ho jatey hain. Unn ki jazbati zindagi per jinsi khwashihat (libido) hawi ho jati hain. Jins e mukhalif ki shadeed kashish mehsoos hoti hai. Iss daur mein jinsi beyrahrawi (sexual perversion) ka shadeed khatra hota hai. Iss umer mein bacho'n ko walaedaen ki mohabbat aur rehnumaee ki zyada zaroorat hoti hai.

No comments:

Post a Comment