Saturday, June 21, 2014

Surat e Inzal

Surat e Inzal
Premature Ejaculation

    Azdawaji zindagi ko khushgawar bananey mein aurat ka kirdaar bohut ahem hai biwi kay bharpoor ta'awwun sey azdawaji zindagi jannat ka namoona ban jati hai aur adum ta'awwun sey jahannum. Agar biwi khawand sey ta'awwun karey to usey koi jinsi masla nahin ho sakta agar ho jaey to biwi ki madad sey bohut aasani sey hal ho sakta hai mardon kay jitney bhi jinsi masail hain un ko poori dunya mein biwi kay ta'awwun sey aasani sey hal kya ja raha hai.
    Mardon ka ahem jinsi masla surat e inzal (premature ejaculation) hai iss sey muraad yeh hai kay mard waqt sey pehley manzil ho jata hai ba'az mahireen ka kahayal hai kay agar kisi mard ka dakhool kay 30 second ba'ad inzal ho jaey to usey iss masley ka shikar samjha jaey ga. Ek aur mahir kay mutabiq agar koi mard dakhool kay ba'ad ek minute sey pehley manzil ho jaey to  usko yeh masla hai. Master aur Johnson kay mutabiq agar koi mard mubashrat mein apni biwi ko kam az kam 50% tak orgasm hasil na kara sakey to usko surat e inzal ka masla hai merey khayal mein sab sey achi ta'areef  Dr.Helen Kaplan ki hai iss kay mutabiq agar mard ko apney inzal per control hai yani woh apni marzi sey manzil ho to woh surat e inzal ka shikaar nahin agar usey inzal per control nahin to usey surat e inzal ka mareez samjha jaey ga.

Yeh masla poori dunya mein aam hai ek research kay mutabiq America mein taqreeban 33% mard iss ka shikar hain humarey haan aksar mardon ko yeh masla hai jis ki wajah sey woh apni biviyon ko mutmaen karney mein na kaam rehtey hain nateejatan biwiyan jinsi zindagi mein na sirf dilchaspi kho deti hain bul kay woh sex sey hi bey zaar ho jati hain. Iss masley mein kuch mard dakhool kay ba'ad 2, 4 stroke laganey kay ba'ad manzil ho jatey hain aur kuch daakhil kartey hi aur ba'az dakhool sey pehley aur kuch foreplay kay doran mazil ho jatey hain aur ba'az afraad aisey hain jo baghaer tanau (erection) kay hi manzil ho jatey hain. Iss kay baad khawand sharmindagi ki wajah sey mubashrat sey bachta hai phir kafi dinon kay baad mubashrat karta hai itney arsey mein mani ki naaliyan mani (seminal fluid) sey bhar jati hain jis ki wajah sey ma'amooli jinsi ishte'aal ki wajah sey woh phir waqt sey pehley manzil ho jata hai agar yeh masla der tak rahey to kuch afraad iss ki wajah sey nafsiyati na mardi ka shikar ho jatey hain.
     Premature ejaculation ki wajoohaat kay barey mein bohut research ho chuki hai Master & Johnson aur doosrey mahireen kay mutabiq surat e inzaal ki wajah taqreeban 100% nafsiyati hoti hai jismani wajah bohut hi kam hoti hai ta'hum khush kun baat yeh hai kay biwi ki madad sey iss kay elaj ki kamyaabi ki sharah taqreeban 90% hai. Premature ejaculation ki wajah sey aurtein bharpoor jinsi lutf sey mehroom rehti hain agar aap kay mian ko surat e inzal ka masla hai to aap uski madad kar kay apni azdawaji zindagi ko bohut khushgawar bana sakti hain aap mandarja zael tareeqon ki madad sey apney khawand kay surat e inzal kay masley ko hal kar sakti hain.

    1.  Sab sey pehley aap kay mian sex kay hawaley sey humarey mua'ashrey mein phaeley huey jinsi mughalto'n aur ghalat mafroozo'n sey nijaat hasil karein iss kay liye

humari kitab 'Sex Education…Sab Kay Liye' ka muta'alla bohut mufeed rahey ga.
  1. Mubashrat kay doran waqfa zyada na ho waqfa jitna lamba hoga mard itni jaldi manzil ho jaey ga le'haza iss masley kay khatmey kay liye haftey mein kam az kam do baar mubashrat honi chahiyie. Agar mian ki umar 60 saal sey zaed hai to kam az kam haftay mein ek baar.
  2. Agar khawand jald manzil ho jaey to kisi nagawari ka izhaar na karein, tanqeed na karein, koi tanzya fiqra na bolein merey ek client ki biwi ney isi tarah ek moqa per kaha "agar aap achi tarah nahin kar saktey to phir karney ki koshish hi kyun kartey hain" iss tanzya fiqrey ki wajah sey na sirf uss ka masla barh gaya bul kay uss ko tanau ka masla bhi paeda ho gaya aur aen dakhool kay waqt uss ka tanau khatam ho jata hai. Aisi surat mein aap uski hosla afzaee karein, uss ka aetmaad bahaal karein aap kay iss masbat aur hosla afza ravayyey ki wajah sey woh kafi behter ho jaey ga.
  3. Aap taweel foreplay karein iss doran mian aap kay hassas hisson (female genitalia) khusoosan bazer ko khoob mushtail karein agar usey iss cheez ka ilm nahin to aap khud hi apney bazer ko mushta'el karein iss kay elawa mian kay zakar aur khusyon ko na chuein jab bhi mian inzal kay qareeb ho to woh aap ko ishara kardey to aap uss kay zakar ko topi kay neechey ya bilkul jarr sey pakarr kar zor sey dabaein to uski inzal ki khwahish khatam ho jaey gi, itni der dabaey rakhein kay inzal ki khwahish khatam ho jaey magar tanau khatam na ho. Dakhool uss waqt ho jab aap orgasm kay bilkul qareeb hun mumkin hai dakhool sey pehley kaee baar aap ko iss amal ko dohrana parey. 


No comments:

Post a Comment