Saturday, June 21, 2014

Islamic Method Of Intercourse

Es tarhan kabhi kabhar hymen mukammal tor per rupture nahi hota, essai bhi takleef hoti hai. Iss kay elawa vagina yeh vulva mein koi allergy yeh infection bhi hosakta hai. Usually mubashrat (Intercourse) koi takleefdai process nahi hai. Agar biwi mubashrat (Intercourse) kay doran pursukoon aur relax rahey to lutf aiga. Taham baaz auqat deep dakhool (penetration) aur zoor daar strokes bhi takleef ka sabab bantai hain. Usually mubashrat (Intercourse) ka pain pahla Chund martaba kay mubashrat (Intercourse) mein hota hai. Iss kay baad lutf hi lutf. (Mobeen)

Mubashrat (Intercourse) Ka Sharaee Tariqa:

    Mubashrat (Intercourse) kay bohut sey famous tareeqai hain. Famous method missionary tareeqa hai. Iss mein wife neechey jabkai husband ooper hota hai. Iss mein dakhool (penetration) easy hai magar iss mein penis bazer (Clitoris) ko touch nahi karta jiski wajha sey aurat zyada lutf andooz nahi hoti. Yeh tareeqa pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi munasib nahi. Hamara yaha yeh tareeqa hi sab sey zyada use hota hai. Baaz log jahalat ki wajha sey esko Islami tareeqa qarar daitain hain jiski wajha sey bohut si khawateen apnai husband ko mubashrat (Intercourse) ka koi dusra method use Karney nahi daitin. Halankay Hazrat Muhammad(P.BU.H) nai kisi tareeqai ko Islami tareeqa qarar nahi diya. Aurat kay zyada jinsi lutf kay liye mard neechey aur aurat ka ooper wala tareeqa zyada mufeed hai. Iss mein aurat apni marzi sey bazer (Clitoris) ko penis kay sath rub kar sakti hai aur pre-mature inzaal (ejaculation) kay liye bhi yeh tareeqa mufeed hai. 

Orgasm - Sexual Climax - Sexual Pleasure - Jinsi Lutf Ki Inteha
 Madina mein shuru shuru mein missionary tareeqey kay elawa doosrey tareeqey raij nahi thay. Hazrat Jabir biyan kartey hain kay yahoodion ka kehna hai kay agar koi shohar apni biwi kay peechey ki taraf reh kar mubashrat (Intercourse) karey to iss surat mein bhaenga bacha paeda hoga chunancha "Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao". Agar koi chahey to peechey ki taraf reh kar bhi mubashrat kar sakta hai lekin mubashrat sirf ek rastey faraj sey honi chahiyie. (Muslim) yahoodion kay asar ki wajah sey Madina mein ansar missionary method kay elawa doosrey methods ko jaeiz nahi samajhtey thay, Yahan tak kay Quran mein ayat nazil hui. 'Tumhari biwian tumhari khaitiyan hain tum apni khwahish kay mutabiq apni khaition mein jao' (Surah Baqra Ayat 223) albatta anus mein dakhool (penetration) haram hai.
Orgasm (Sexual Climax)
    Jinsi lutf ki intiha ko orgasm kaha jata hai. Mard aur aurat kay orgasm mein farq hai. Mard ka orgasm kay foran baad inzal (discharge) ho jata hai jab kay aurton ka mardon ki tarhan discharge nahi hota. Albatta 5% aurtein pani kharij karti hain. Mard orgasm ki hadd tak jald pohonch jata hai aur iss ka duration bhi kam hota hai aur woh jald normal halat mein aa jata hai. Jab kay aurat der sey orgasm hasil karti hai aur iss ka orgasm der tak rehta hai. Iss ko normal honay mein bhi zyada waqt lagta hai. Ek bara farq yeh hai kay mard taqreeban har bar orgasm hasil kar leta hai jab kay sirf 30% aurtein har bar orgasm hasil karti hain. 10% kabhi orgasm hasil nahi kartiin. Unko nafsiyati elaj aur baaz auqat operation ki zarorat parti hai.

No comments:

Post a Comment