Sex Education
Aala ta'aleem kay ba'ad America sey wapsi per meine Bahawalpur division kay ek chotey sey sheher Chishtiya'n main apna anfsiyati clinic shuru kya. Mera pehla mareez ek ma'amooli parha likha dehaati naujawan tha jis ki inhi dino'n shadi hui thi magar yeh naujawan kaee maah guzarney kay bawajood apni biei sey azdawajii ta'alluqaat qa'em karney mein kaamyaab na hosaka. Doctors kay mutabiq woh bilkul normal tha yani usey koi jismani masla nahi tha. Pehli mulaqat mein uss kay masley per amoomi guftugoo hui phir usey elaj kay liye chund din ba'ad bulaya magar who na aaya, mein bhi uss naujawan ko bhool gaya. Ek maah ba'ad achanak uss kay barey bhaee sey mulaqat hui, meine uss naujawan kay muta'alliq poocha, uski aankh sey aansoo nikal aaey uss ney aansoo ponchtey huey bataya kay uss ney khudkushi karli.
Dar asal woh abhi tak azdawajii ta'alluqaat qa'em na kar paya tha, uss ko yaqeen tha kay who iss qaabil nahin haala'n kay uss kay saarey tests normal thay, phir sharmindagi sey bachney kay liye ek andheri raat biwi ko ley kar ga'on sey baher aaya pehley biwi ko ek darakht kay sath latka diya phir khud bhi ussi darakht kay sath jhool gaya. Haqeeqat yeh thi kay usey koi jinsi masla nahin tha, uska masala sirf nafsiyati tha. Uss ney humein mohlat na dii kay hum uski madad kartey haala'n kay aaj kay ilmi daur mein iss tarah kay masley ko aasaani sey hal kya ja sakta hai. Hum iss tarah kay masail har roz hal kartey hain.
Sexual Life In Islam - Jinsi Zindagi Aur Islami Talimat |
Guzishta dino'n mujhey ek khatoon ney phone kya aur bataya kay uski shaadi ko 8 saal ho chukey hain magar abhi tak unn kay azdawaji ta'alluqaat qa'em nahin huey. Biwi ney apney mian ko elaj kay liye bhijwaya Khuda kay fazal sey humarey elaj sey unki khushyan bahaal ho gaee'n.
Islami Talimat Aur Jinsi Zindagi
(Sexual Life In Islam)
Islam ek mukammal zabta e hayat hai jiss ney apney paero kaaro'n ko zindagi kay har shobey mein rehnumaee fraham ki hai. "Jinsi Zindagi" (sexual life) insaani zindagi ka ahem tareen pehlu hai. Chunancha Allah ney Hazrat Adam kay sath Amma Hawwa ko paeda farmaya. Quran Majeed mein irshad hai kay, "uss ney tumharey liye tumhari hi jins sey biwiya'n bana'een ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo" (Surah Rome Ayat 21) Isi liye Allah kay nabi ney farmaya kay nikah meri sunnat hai jiss ney iss per amal na kiya woh hum mein sey nahin. Hazrat Muhammad ney ek aur jagah farmaya "Allah haq baat kehney sey nahin sharmata". Chunancha Quran mein jinsi zindagi kay ahem usolo'n maslan shaadi (marriage), mubashrat (intercourse), mubashrat kay tariqey (sex positions), mani (seminal fluid), rehem e madar, haez (menses), hamal (pregnancy) aur uss kay mukhtalif adwaar, bachey ki paeda'esh, zina (adultery) aur hum jinsiyat (homosexuality) waghaera ka zikr hai. Doosri taraf Allah kay nabi ney bhi bari tafseel kay sath jinsi zindagi kay mukhtalif pelu per roshni daali hai. Bud qismati sey hum mein sey aksar log iss sey aagaah nahin. Khushgawar azdawaji zindagi kay liye ilm ki zaroorat hai. Kisi ney khoob kaha hai kay 'Knowledge is power and sexual knowledge is super power' chunancha merey khayal mein Pakistan mein har fard ko jinsi ta'aleem ki zaroorat hai.
|
No comments:
Post a Comment