woh apka nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde)
Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?
Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh baat bitha di gaee hai ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat nahi kartey ya unko pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh baat na sirf mashriq mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss baat ki koi haqeeqat nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada comfortable feel kartey hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein dilchaspi leti hain. (Angelis)
Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot? (Sexual Desire In Women)
Yeh baat bar bar suni jati hai kay aurton mein jinsi khwahish (sexual desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat mein chahey janey ki khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak jinsi khwahish (libido) ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch researchers ka khayal hai kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber hain aur kuch ka khayal hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada hai. Darasal aurat mein mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard mein mubashrat (Intercourse) ki. 'Woman wants to talk man wants to do'. Lehaza science kay mutabiq yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein jinsi jazbat mard sey 8 guna zyada hain. (Zakir: Hyde)
Frequent Intercourse - Kasrat e Mubashrat
Kasrat e Mubashrat Aurton Kay Liye Nuqsandeh Hai?
(Frequent Intercourse Is Harmful)
26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada mubashrat (Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat (Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi. Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)
Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai?
Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant) hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay burey asraat nahi partey. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki sehat muta'assir nahi hoti lekin agar